Friday, August 26, 2016

Sai Baan by Mukesh Kulkarni (Khandwa)

"Shraddha Man Mein dhaar ke Sai ka le naam |
Rakh Saboori sab tere honge poore kaam || "

Jai Sainath Bhakt-Vardaayi, Tumhari mahima barani na jaayi, 
Bhaktan kaaj sheeghrata keeje, Charan pade hain aashish deeje, 

Durjan Kaashiraam ko maare, Tumne usske sankat waare, 
Kusht rog tha bhaagoji ka, Maharog ko tumne jhataka, 

Tumhi to thhe shirdi ke kaanha, Bhakton ne tumhe raam bhi maana, 
Dutt Digambar roop hai pyara, Tumhra saar jagat pasaara,

Kaaliya ka kaal Utaara, Shyama ko de diya sahaara, 
Dum Dum Dum Dum Damroo baaje, Jag mein Tumhri leela goonje

Ab na der karo hai swaami, Jai Jai jai Sai shubhnaami
Sai Sai Sai Aum Sai deva, Sweekaro ab humri sewa, 

Shatru ko satake se maaro, Apne nirbal daas ko taaro, 
Hanumaan ka roop dikhaao, Aur Satake ki gadaa banaao, 

Chamatkaar Kar do shakti ka, Naam-o-nishaan rahe na khal ka
Aum Sai Aum Sai zor se garaje, Moorchhit ho Durjan howe jo

Aum Hanu Hanu Hanumant Saisha, Jai Jai Sai malang vesha
Raam roop mein Rakshas maare, Krishna bane Kaurav sanhaare, 


Apna chimtaa shastra banaao, Khal Shatroo ke dil mein ghusaao, 
Tum ho sai yog yogeeshwar, Iss kaliyug ke ho Gyaaneshwar  

Bhoot Pret Pishaach aur Bairi, Agni, Vaitaal, Kaal, Mahamaari
Shapath Tumhe Allah Maalik ki, Chal na sake innme se kisi ki

Innko inke dhaam bithaao, Apne bhagat ko Sai bachao, 
Aham -Krodh-Raag-Dvesh chhuraao, Saari Samasya hal karwaao

Aum Draam Shri Sai Samartha Dram Aum, Tumhare Siwa Humaara hai kaun
Aan tumhe dwaaraka Maai ki, Haro Kasht Peera Bhaktan ki 

Utho Utho Ab na der lagaao Jaago Baba Leela Dikhaao, 
Aum draam draam draam drut gati dauro, Khal Shatru ke maan ko toro, 

Yeh Sai Baan vajra se Chhuta, Isska Nishaana Howe na khota,
Aum Sa Sa Sa Sa Sai Agaadha, Har lo Aadhi Vyaadhi Baadha

Sun ke pukaar Sai jo na dhaave to apna Avatar Lajaawe
Tujhe duhaayi gurusthaan ki, Ghat Aughat ki Chandbhaan ki 

Baan chale sab rog bhagaawe, Japne wala Sab sukh paave, 
Aan tumhe dwaraka maai ki, Haro kasht peera Bhaktan ki, 

Dhoop dey yah baan jo japta, Mann ki muraadein poori paata
Dhyaan laga yah baan jo jaape, Ta ko Kabahun Bhaye na vyaape

Usska Bera paar lagaawe, Sai Daura Daura aawe
Tu hi Kaashi, Tu hi Kaaba, Laaj Mukesh ki Rakhiyo Baba

"Prem Purassar sai bhaje, Sai ka dhar dhyaan,
Siddha Shubh sab Kaaj kare, Amogh ye Sai baan"     

   
  
      


1 comment:

  1. This comment has been removed by a blog administrator.

    ReplyDelete